kya aashiq aur kya uski aashiqi
jaise ek bhatke hue ko ek bhatki hui raah mili
koi kisi ka sambal nahi,
bas ugdi yaado ka hi sath sahi
dhundla uljha thithura ye mera man hai
na jane kaun tha jiska mujhe gum hai
aasha hai, na nirasha hai,
uljhe sawalo ki ansuni apni bhasha hai
jise suna nahi use ansuna kar diya
jo mila nahi use apna kah diya
halke halke bunde hai barasti
pal pal apna sab kuch khone ko hai tarasti
jaha aadi, wahi ant hai
jo hai nahi wahi sant hai
jo mar liye wo to anjane mein hi tar liye
par jo zinda hai,jinki saanse chuninda hai,wo anmane anjane anjani raah pe chal diye
Saturday, October 3, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
hmm good work bro if it is your creation
ReplyDeleteden post more man.............