Saturday, October 3, 2009

फिर ठीक है

kya aashiq aur kya uski aashiqi
jaise ek bhatke hue ko ek bhatki hui raah mili

koi kisi ka sambal nahi,
bas ugdi yaado ka hi sath sahi

dhundla uljha thithura ye mera man hai
na jane kaun tha jiska mujhe gum hai

aasha hai, na nirasha hai,
uljhe sawalo ki ansuni apni bhasha hai

jise suna nahi use ansuna kar diya
jo mila nahi use apna kah diya

halke halke bunde hai barasti
pal pal apna sab kuch khone ko hai tarasti

jaha aadi, wahi ant hai
jo hai nahi wahi sant hai


jo mar liye wo to anjane mein hi tar liye
par jo zinda hai,jinki saanse chuninda hai,wo anmane anjane anjani raah pe chal diye

le me c....................

ek adhura khaab hi sahi
khyayalo mein hi tu mere pass rahi
waqt be waqt yaadein aa jati hai
mujhe muskuraane ka ek bahana de jati hai
shabdo mein na armano mein
maine jiya hai is sapne ko dil k paimane mein
aankhein gar dhundhla bhi gayi
yaaadoon ko na jaane dunga
unko jo kho diya,to phir kya pa sakunga
kabhi meri ruswai mein
kabhi akelepan ki gahrai mein
har lamha tujhe yaad kiya is ki gahrai ne
sath aur sathi bahut mil jayenge
par ye batao k kya hum,hum rah payenge